ek pal mila sukoon ka
phir se bikhar gaya
bhikhra magar khanak si
aawaz kar gaya
us goonj mein shamil hai
awaz meri bhi kuch
ek aah bhi, hansi bhi
khamoshi ki wajah bhi
ek dhadkan mere dil ki
aur shor si sada bhi
kuch lehren samandar ki
pani ka saans lena
bujhte hue dhuene mein
ek lau ka tham ke chalna
har taraf ek halchal
ek aahat zindagi ki
in salwaton mein shamil
zindagi ki sargoshi
ye sukoon hai bas talash
zindagi ki justajoo hai
jo kho gaya samandar
jo paya tishnagi hai
phir se bikhar gaya
bhikhra magar khanak si
aawaz kar gaya
us goonj mein shamil hai
awaz meri bhi kuch
ek aah bhi, hansi bhi
khamoshi ki wajah bhi
ek dhadkan mere dil ki
aur shor si sada bhi
kuch lehren samandar ki
pani ka saans lena
bujhte hue dhuene mein
ek lau ka tham ke chalna
har taraf ek halchal
ek aahat zindagi ki
in salwaton mein shamil
zindagi ki sargoshi
ye sukoon hai bas talash
zindagi ki justajoo hai
jo kho gaya samandar
jo paya tishnagi hai
This is amazing mam!!
ReplyDelete